Khamoshi Se Bhikharna Aa Gaya Hai,
Hamein Ab Khud Ujarna Aa Gaya Hai,
Kisi Ko Bewafa Kehte Nahi Hum,
Hamen Bhi Ab Badalna Aa Gaya Hai,
Kisi Ki Yaad Mein Rote Nahi Hum,
Hamein Chup Chaap Jalna Aa Gaya Hai,
Gulaboon Ko Tum Apne Pas Rakkho,
Hamein Kantoon Pe Chalna Aa Gaya Hai