Woh Raat Dard Aur Sitam Ki Raat Hogi,
Jis Raat Rukhsat Unki Baraat Hogi,
Uth Jata Hu Main Ye Sochkar Neend Se Aksar,
K Ek Ghair Ki Baaho Me Meri Sari Kayanat Hogi
Category: Neend Shayari
Neend Shayari In Hindi – Dil Ki Kitaab Kaa Panna Churaa Le Gyaa Koi
Dil Ki Kitaab Kaa Panna Churaa Le Gyaa Koi,
Neend Aankhon Se Udaa Le Gaya Koi,
Peene Ki Aadat Nahi Thi,
Humein Zaam Nigahoon Se Pilaa Gaya Koi.
Neend Shayari In Hindi – Kitni Jaldi Yeh Mulakat Guzar Jati Hai
Kitni Jaldi Yeh Mulakat Guzar Jati Hai,
Pyaas Bujhti Bhi Nahi Barsaat Guzar Jate Hai,
Aye Jaan
Apni Yadoon Se Kahoo Ke Na Aaya Karain
Neend Aati Bhi Nahi Raat Guzar Jati Hai..
Neend Shayari In Hindi – Mujhe Rulakar Sona To Teri Aadat Ban Gayi Hai
Mujhe Rulakar Sona..
To Teri Aadat Ban Gayi Hai,
Jis Din Meri Aankh Na Khuli..
Tujhe Neend Se Nafrat Ho Jayegi.
Neend Shayari In Hindi – Tanhai Mein Muskurana Ishq Hai
Tanhai Mein Muskurana Ishq Hai,
Ek Baat Ko Sab Se Chupana Ishq Hai,
Yu To Neend Nahi Aati Hai Raat Bhar,
Magar Sote Sote Jaag Jana Ishq Hai..!!
Neend Shayari In Hindi – Dil Ki Kitab Mein Gulab Unka Tha
Dil Ki Kitab Mein Gulab Unka Tha
Raat Ki Neendo Mein Khwab Unka Tha
Kitna Pyar Karte Ho Jab Humney Pucha
Mar Jayengey Tumhre Bina Ye Jawab Unka.
Neend Shayari In Hindi – Aap Ko Paa Kar Ab Khona Nahi Chahte
Aap Ko Paa Kar Ab Khona Nahi Chahte,
Itna Khush Ho Kar Ab Rona Nahi Chahte,
Yeah Aalam Hai Humara Aap Ki Judai Main,
Aankhoon Main Hai Neend Per Sona Nahi Chahte.
Neend Shayari In Hindi – Itni Shiddat Se Chaha Use Ki Khud Ko Bhi Bhula Diya
Itni Shiddat Se Chaha Use Ki Khud Ko Bhi Bhula Diya,
Unke Liye Apne Dil Ko Kitni Hi Baar Rula Diya,
Ek Baar Hi Thukraya Unhone,
Aur Humne Khud Ko Maut Ki Neend Sula Diya.
Neend Shayari In Hindi – Khuda Ek Bar Use Ye Ehsas Dila De
Khuda Ek Bar Use Ye Ehsas Dila De,
Kitna Intjar Hai Zara Use Bata De,
Har Pal Dehkte Hai Rasta Usi Ka,
Na Intjar Karna Pade Mujhe Aisi Neend Sula De.
Neend Shayari In Hindi – Saath Na Rehne Se Rishte Nahi Tuta Karte
Saath Na Rehne Se Rishte Nahi Tuta Karte,
Waqt K Hath Se Lamhe Nahi Chhuta Karte,
Log Kehte Hain Mera Sapna Toot Gaya,
Toot Ti Neend Hai Sapne Nahi Toota Karte.