Nafrat B Pyar Ki Buniyad Hoti Hai..
Mulaqaat Se Achi Kissi Ki Yaad Hoti Hai..
Rishto Me Faslo Ka Wajud Nahi Hota ..
Kyuki Dil Ki Duniya To Khayalo Se Abaad Hoti Hai..!!
Tag: hindi poetry on nafrat
Nafrat Shayari In Hindi – Ek Nafrat Hi Hai Jisey
Ek Nafrat Hi Hai Jisey,
Duniya Chand Lamho Mein Jaan Leti Hai.. Warna..
Chahat Ka Yakin Dilane Mein To Zindagi Beet Jaati Hai..
Nafrat Shayari In Hindi – Humse Nafrat Karo Ya Mohabt
Humse Nafrat Karo Ya Mohabt
Dono Hamare Haq Me Behtar He
Q Ki Agr Tum Nafrat Kroge To Hum
Tumare Dimag Me Bs Jaynge
Agr Mohbat Kroge To Dilme
Nafrat Shayari In Hindi – Mujh Se Nafrat Ki Ajab Raah Nikali Us Nay
Mujh Se Nafrat Ki Ajab Raah Nikali Us Nay
Hasta Basta Dil Kar Diya Khali Us Nay
Meray Ghar Ki Riwayat Se Woh Khoob Waqif Tha
Judai Mang Li Ban K Sawali Us Nay!
Nafrat Shayari In Hindi – Mohabbat Hai K Nafrat Hai
Mohabbat Hai K Nafrat Hai,
Koi Itna Tou Samjhaye,
Kabhi Main Dil Se Larti Hu,
Kabhi Dil Mujh Se Larta Hai!!
Nafrat Shayari In Hindi – Sanam Teri Nafrat Mein Wo Dam Nahi
Sanam Teri Nafrat Mein Wo Dam Nahi,
Jo Meri Chahat Ko Mita De,
Ye Mohabbat Hai Koi Khel Nahi,
Jo Aaj Hans Ke Khela Aur Kal Ro Ke Bhula De.
Nafrat Shayari In Hindi – Nafrat Kabhi Na Karna Hum Se
Nafrat Kabhi Na Karna Hum Se,
Ye Hum Kabhi Na Seh Payein Ge,
Ek Bar Keh Dena Hum Se K Zaroorat Nahi Ab Tumhari,
Hum Tumhari Duniya Se Hans K Chale Jayege.
Nafrat Shayari In Hindi – Nafratein Lakh Mili Par Kisi Ki Mohbbt Na Mili
Nafratein Lakh Mili Par Kisi Ki Mohbbt Na Mili,
Zindagi Beet Gai Magar Rahat Na Mili,
Teri Mehfil Me Har Ek Ko Hasta Dekha,
Ek Mein Hi Tha Jise Hasne Ki Ijazat Na Mili..
Nafrat Shayari In Hindi – Na Jaane Kis Shaks Ka Intezaar Hume Aaj Bhi Hai
Na Jaane Kis Shaks Ka Intezaar Hume Aaj Bhi Hai,
Sukoon To Bahot Hai Pr Dil Bekarar Aaj Bhi Hai,
Tumne Hume Nafraton Ke Siva Kuch Nahi Diya Lekin,
Hume Tumhari Nafraton Se Pyar Aaj Bhi Hai.
Nafrat Shayari In Hindi – Wo Inkaar Karte Hain Ikraar Ke Liye
Wo Inkaar Karte Hain Ikraar Ke Liye,
Nafrat Bhi Karte Hain To Pyar Ke Liye,
Ulti Chaal Chalte Hain Ye Ishq Karne Wale,
Ankhein Band Karte Hain Deedar Ke Liye.