Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hain
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain.
Pata Hai Majbuur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain.
Tag: hindi sher on didar
Didar Shayari – Kitne Armaano Ko Dafnaye Baitha Hoon
Kitne Armaano Ko Dafnaye Baitha Hoon,
Kitne Zakhmo Ko Dabaye Baitha Hoon,
Milna Muskil Hai Unse Is Daur Mein,
Phir Bhi Deedar Ki Aas Lagaye Baitha Hoon.
Didar Shayari – Taras Gaye Aap Ke Deedar Ko
Taras Gaye Aap Ke Deedar Ko
Phir Bhi Dil Aap Hi Ko Yaad Karta Hai
Hum Se Khush Naseeb To Aap Ke Gharka Aaina Hai
Jo Har Roz Aap Ke Husn Ka Deedar Karta Hai
Didar Sher O Shayari – Aap Ke Deedar Ke Liye Dil Tarasta Hai
Aap Ke Deedar Ke Liye Dil Tarasta Hai,
Aap Ke Intezaar Mein Dil Tadapta Hai,
Kya Kahe Is Pagal Dil Ko Jo,
Hamara Ho Kar Bhi Aap Ke Liye Dhadkta Hai.
Didar Sher O Shayari – Teri Nazar Ko Fursat Na Mili Didar Ki
Teri Nazar Ko Fursat Na Mili Didar Ki,
Warna Mera Marz Itna Laa Ilaj Na Tha,
Hum Ne Wahan B Mohabat Hi Baanti,
Jis Shehar Mai Mohabat Ka Riwaaj Na Thaaa.
Didar Shayari – Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai
Har Sham Se Tera Izhaar Kiya Karte Hai
Har Khwab Me Tera Didar Kiya Karte Hai
Diwane Hi To Hai Hum Tere
Jo Har Waqt Tere Milne Ka Intzaar Kiya Karte Hai..