Woh Jo Hath Bhar Ka Tha Fasla Kai Mosamon Main Badal Gaya …
Usey Naapte, Usey Kaate, Mera Waqt Sara Guzar Gaya..
Tag: hindi sher on fasla
Fasle Shayari – Nafratein Bhi Uss Se Mohabbatein Bhi Uss Se
Nafratein Bhi Uss Se, Mohabbatein Bhi Uss Se
Yeh Dil Ke Maamle Bhi Hua Karte Hai Ajeeb
Na Toot Kar Jurre, Na Jud Kar Kabhi Toote
Yeh Qurbaton Ke Faasle Bhi Hua Karte Hai Ajeeb
Fasle Shayari – Ye Dil Tujhe Itni Shiddat Se Chahta Kyu Hai
Ye Dil Tujhe Itni Shiddat Se Chahta Kyu Hai,
Har Saans Ke Sath Tera Hi Naam Aata Kyu Hai,,
Tu Kitna Bhi Mujhse Faslaa Rakhle,,
Zikr Phir Bhi Tera Meri Zaban Pe Aata Kyu Hai,
Faasla Shayari – Mana Ke Majburi Thi
Mana Ke Majburi Thi…
Fasla Bahut Tha Bohat Doori Thi….
Kabhi Sochti Hun Bewafa Hain Wo….
Kabhi Sochti Hun Meri Lakeerein Hi Adhuri Thi….
Faasla Shayari – In Faslon Ki Fikar Main Kyon Karon Bhala
In Faslon Ki Fikar Main Kyon Karon Bhala
Bahot Door Reh Ke Bhi Mere Paas Hai Koi,
Is Soch Mein Dooba Hai Bahot Dair Se Mera Dil.
Kia Uske Dil Mein Bhi Aisa Ehsaas Hai Koi?
Faasla Shayari – Faslon Ne Dil Ki Qurbaton Ko Barha Diya
Faslon Ne Dil Ki Qurbaton Ko Barha Diya
Aj Uski Yad Ne Besabab Rula Diya
Usko Shikwa Hai Ke Mujhe Uski Yaad Nahi Aati
Jiski Yaad Mai Khud Ko Bhula Diya
Faasla Shayari – Dhoop Mein Niklo Ghataon Mein Naha Kar Dekho
Dhoop Mein Niklo Ghataon Mein Naha Kar Dekho
Zindagi Kya Hai Kitabon Ko Hata Kar Dekho
Faasla Nazaron Ka Dhoka Bhi Tho Ho Sakta Hai
Woh Mile Ya Na Mile Haath Badha Kar Dekho