Khamoshi Se Bikharna Aa Gaya Hai,
Hamian Ab Khud Ujarna Aa Gaya Hai,
Kisi Ko Bewafa Kehte Nahi Hum,
Hamian B Ab Badlna Aa Gaya Hai,
Kisi Ki Yad Main Rote Nahi Hum,
Hamian Chup Chap Jalna Aa Gaya Hai,
Gulabun Ko Tm Apne Pass Rakho,
Hamian Kantun P Chalna Aa Gaya Hai.
Tag: khamoshi ishq shayari
Khamoshi Shayari In Hindi – Teri Dard-E-Judai Kyu Satati Hain Mujhe
Teri Dard-E-Judai Kyu Satati Hain Mujhe,
Teri Ye Khamoshi Kyu Tadpati Hain Mujhe,
Jab Chale Gaye Ho Tum Chhod Mujhe Humsafar,
To Fir Teri Yaade Kyu Rulati Hain Mujhe.
Khamoshi Shayari In Hindi – Aapki Muskan Hamari Kamzori Hai
Aapki Muskan Hamari Kamzori Hai,
Keh Na Pana Humari Majboori Hai,
Aap Kyun Nahi Samajhte Is Khamoshi Ko,
Kya Khamoshi Ko Bhi Zuban Dena Zaroori Hai.
Khamoshi Shayari In Hindi – Sirf Najdikiyo Se Mohabbat Hua Nahi Karti
Sirf Najdikiyo Se Mohabbat Hua Nahi Karti,
Fasle Jo Dilon Me Ho To Fir Chahat Hua Nhi Karti
Agar Naraz Ho Khafa Ho To Shikayat Karo Hamse
Khamosh Rahne Se Dilo Ki Duriya Mita Nhi Karti.
Khamoshi Shayari In Hindi – Kyu Teri Khamoshi Mujhe
Kyu Teri Khamoshi Mujhe,
Khamosh Kar Jati Hai..!!
Kyu Teri Udasi Mujhe,
Udas Kar Jati Hai..!!
Kya Rishta Hai Tera Aur Mera,
Jab Bhi Teri Yaad Aati Hain,
Mujhe Tanha Kar Jati Hai…!!
Khamoshi Shayari In Hindi – Tumhari Khamoshi Hamari Aadat Hai
Tumhari Khamoshi Hamari Aadat Hai,
In Dooriyon Mein Bhi Hamari Chahat Hai,
Hamari Zindagi Agar Khoobsurat Hai,
To Uski Wajah Bhi Aapki Muskurahat Hai.
Khamoshi Shayari In Hindi – Khamoshi Raaho Mein Tera Saath Chahiye
Khamoshi Raaho Mein Tera Saath Chahiye,
Tanhai Hai Mera Hath,Tera Haath Chahiye,
Mujhko Mere Muqadar Per Itna Yakeen Too Hai,
Tujhko Bhi Mere Lafz, Meri Baat Chahiye..
Khamoshi Shayari In Hindi – Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hai
Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hai,
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain,
Pata Hai Majbur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi,
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain.
Khamoshi Shayari In Hindi – Wo Dard Hi Kya Jo Aankhon Se Beh Jaye
Wo Dard Hi Kya Jo Aankhon Se Beh Jaye,
Wo Khushi Hi Kya Jo Hoton Par Reh Jaye,
Kabhi To Samjho Meri Khamoshi Ko,
Wo Baat Hi Kya Jo Lafz Aasani Se Keh Jaye.
Khamoshi Shayari In Hindi – Chubhati To Hai Jindgi Bhi
Chubhati To Hai Jindgi Bhi,
Jab Sathi Nahi Milata Koi,
Khamosiyo Ko Mitane Wala Milta Nahi Koi,
Magr Khamosh Rehne Ka Aaj Yug Mein Koi Fayda Nahi,
Kyuki Khamoshi Ka Fayda Uthata Hai Har Koi.