Khwab Sher O Shayari – Khawab Bhi Shayad Kaanch Se

Khawab Bhi Shayad Kaanch Se Kamzor Hote Hain,
Har Roz Bikhar Jate Hain Faqat Ek Aankh Ke Khulne Se…!




Khwaab Shayari – Tere Haath Ki Main Wo Lakeer Ban Jaun

Tere Haath Ki Main Wo Lakeer Ban Jaun,
Sirf Mai Hi Tera Muqadar Teri Takdeer Ban Jaun,
Mai Tujhe Itna Chahu Ki Tu Bhool Jaye Har Rishta,
Sirf Mai Hi Tere Har Rishte Ki Tasveer Ban Jaun,
Tu Aankhe Band Kare To Aau Mai Hi Nazar,
Iss Tarah Mai Tere Har Khawab Ki Tabeer Ban Jau.




Khawab Shayari – Yaad Aate Hai To Zara Kho Lete Hai

Yaad Aate Hai To Zara Kho Lete Hai
Aansu Ankho Me Utar Aye To Zara Ro Lete Hai
Nind Aakho Me Aate Nahi Lekin
Aap Khuwabon Me Ayaingay Yahi Soch Kar So Lete Hai




Khawab Shayari – Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute

Kabhi Hum Tute Toh Kabhi Khwaab Tute
Na Jane Kitne Tukdo Mein Armaan Tute
Har Tukda Aaina Hai Zindgi Ka
Har Aaine Ke Saath Laakhon Jazbaat Tute..




Khwab Sher O Shayari – Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah

Jab Se Hua Hai Woh Khwab Ki Tarah
Zindagi Guzar Rahi Hai Azaab Ki Tarah
Khushbu Ke Kalam Se Shayad Likha Tha Usne Khut
Har Lafz Mahak Raha Hai Gulab Ki Tarah




Khwab Sher O Shayari – Kashish Dil Ki Har Cheez Bhula Deti Hai

Kashish Dil Ki Har Cheez Bhula Deti Hai
Band Aakhon Mein Bhi Sapne Saja Deti Hai
Sapno Ki Duniya Jarur Rakhna Dost
Kyun Ki Hakikat Aksar Logo Ko Rula Deti Hai