Milna Itifaak Tha Bicharna Naseeb Tha
Wo Utna He Door Ho Gaya Jitna Kareeb Tha
Hum Usko Dekhne K Liye Taraste He Rahe
Jis Shaks Ki Hatheli Pe Hamara Naseeb Tha
Kismat Do Pal Mein Badal Sakta He Insan
Per Jo Insan Ko Badal De Wo Kismat Nahin Hoti
Apni Kismat Pe Rota Wohi Shakhs Hay Jisko
Sajdon Me Rone Ki Adat Nahin Hoti
Ik Umer Ki Judai Mera Naseeb Kr Ke,
Woh To Chala Gya He Baatein Ajeeb Kr Ke,
Tarz-E-Wafa Ko Uski Kya Naam Un Me Ab,
Khud Door Ho Gya He Mujh Ko Qareeb Kr Ke
Mujhe Tujhse Koi Shikwa Ya Shikayat Nahi,
Shayad Mere Naseeb Me Teri Chahat Nahi,
Meri Takdir Likh Kar Khuda Bhi Muqar Gaya,
Maine Pucha To Bola Ye Meri Likhawat Nahi.