Ashko Mein Husno Rang Samota Raha Hu Main – 2
Aanchal Kisika Thaam Ke Rota Raha Hu Main
Nikhra Hain Jaake Ab Kahi Chehra Shahur Ka – 2
Barso Ise Sharab Se Dhota Raha Hu Main
Sange Mar Mar Se Tarasha Ye Badan
Itna Dilkash Hai K Apnane Ko G Chahta Hai
Surakh Hoto Me Thirakti Ha Wo Sharab
Jisko Pe Pe Ke Behak Jane Ko G Chata Hai
Lafzon Ke Fasaane Dhoondhte Hain Hum Log;
Lamhon Mein Zamane Dhoondhte Hain Hum Log;
Tu Zeher Hi De Sharab Keh Kar Saqi;
Jeene Ke Bahane Dhoondhte Hain Hum Log!
Gham Is Kadar Mila Ki Ghabra Ke Pee Gaye,
Khushi Thodi Si Mili To Mila Ke Pee Gaye,
Yun To Naa Thi Janam Se Peene Ki Aadat,
Sharab Ko Tanha Dekha To Taras Khaa Ke Pee Gaye.
Ishq-A-Bewafai Ne Daal Di Hai Aadat Buri,
Main Bhi Sharif Hua Karta Tha Is Zamane Mein,
Pehle Din Shuru Karta Tha Masjid Mein Namaaz Se,
Ab Dhalti Hai Shaam Sharab Ke Sath Mehkhane Mein.
Madhhosh Hum Hardam Raha Karte Hain,
Aur Ilzaam Sharaab Ko Diya Karte Hain,
Kasoor Sharaab Ka Nahi Unka Hai Yaron,
Jinka Chehra Hum Har Jaam Mein Talaash Kiya Karte Hain.